Abhi Is taraf Na Nigah kar,
Abhi Is taraf Na Nigah kar
Abhi Is taraf Na Nigah kar
Main Ghazal ki Palken Sanwar Lun
Mera lafz lafz ho Aaina
Tujhe Aainy Mein Utar Lun
Main tamam Din ka thka hua
Tu tamam shab ka Jaga hua
Zara thehr ja isi Mor par
Tery sath Shaam Guzaar Lun
Agar Aasma’n ki Numaishon Mein
Mjhe b Izn-e-Qayam ho
To Main Motiyon ki Dukaan se
Teri baliyan Tery haar Lun
Kai Ajnabi Teri Raah k
Mery Paas se Yun Guzar Gye
Jinhe Dekh Kar Ye Tarap hui
Tera Naam Le kar Pukaar Lun
0 comments: